मानव-भेड़िया का अभिशाप (Werewolf Ka Abhishap) – Horror Story

Read Time: 4 minutes

मानव-भेड़िया का अभिशाप (Werewolf Ka Abhishap Horror Story)

दोस्तों आज आपके लिए पेश है, मानव -भेड़िये की सच्ची डरावनी कहानी। यह कहानी एक मानव-भेड़िये के अभिशाप के बारे में है। इस कहानी में एक आदमी के ऊपर एक भेड़िया हमला कर देता है, और फिर वो इंसान एक मानव-भेड़िया बन जाता है।

The Curse of the Werewolf, Ireland ki ek purani horrar lok-katha hai, jisme ek werewolf ne Ireland ke ek gramin ilake se yatra kar rahe ek pujari ke upar hamla kar diya tha.

Dosto aap ne Stephen King ka nam to suna hi hoga, to Stephen King ne is kahani se prabahvit hokar ek novel likhi thi, jiska nam “Cycle of the Werewolf” tha.

Bad me is novel par ek film bhi bani thi, jiska nam Silver Bullet rakha gaya.

“werewolf ka abhishaap” “मानव -भेड़िये का अभिशाप”

Kahani ki shuruvat Ireland ke ek ganv ke ek pujari se hoti, yah ganv acchi-khasi halat me tha. To jo ye pujari tha vo apne church ke kam se pas hi ke ek shahar me ja rha tha.

Us shahar tak pahuchne se pahle pujari ko ek lambi yatra tay karni thi aur rasta bhi kafi ubad-khabad tha, jis karan se raat bhi ho gayi thi. Aur is karan us pujari ko raat me ek ghane jungle me camp lagana padha. Dosto iss jungle ko ek haunted jungle mana jata tha.

Raat me us pujari ne apne tent ke bahar kisi ke hath ko dekha, jo uske tent ko kharoch raha tha. jab vo jaanch ke liye baahar nikla, to us par ek bhediya ne hamla kar diya.

Us bhediye ne use gambheer roop se ghayal kar diya tha aur use kai jagah par kat bhi liya atha. Jaise hi us pujari ko laga ki bhediya bas use marne hi wala tha ki tabhi Us pujari ke gale me jo cross tha, use dekhkar us bhediya ne achanak se hamla band kar diya.

Aur vo bhediya apni jagah par khada hokar us pujari ki hi aankhon me dekh raha tha. Phir thodi der bad vo bhediya us pujari ko vahi mara hua chodkar vaha se bhag gaya. Us pujari ke ghavo se kafi khoon bah raha tha.

यह कहानी भी पढ़े: क्या वह मानव भेड़िया (Werewolf) था?

Agle din, vah rengta hua apne ganv mein vaapas aa gya. Ek local doctor ne use dekha aur use apne clinic me le gya, jahan uska sahi se ilaz hua aur uske ghav bhi jaldi hi bhar gaye aur thode hi dino me vo thik hokar apne kam par vapas aa gaya.

Pujari fir se sakriy ho gya aur vah pahle se bhi jyada josh ke sath apne kam ko karne me lag gya. Usne ganv ke logo ko inspire kiya aur naya church banane me unki sahayata ki.

Uske followers ka usme vishvaas mazaboot ho gya aur har din uske church me logo ki bheed aane lagi.

आप देख रहे है मानव-भेड़िया का अभिशाप (Werewolf Ka Abhishap)

Lekin ganv me abhi bhi samasyaye thi. Har Poornima ki raat, ganv me koi n koi mrat paya jata tha ya fir rahasymay paristhitiyon me lapta ho jata tha. Logo ne kaha ki unhone raat ke samay ek prani ko ganv se bhagte dekha tha. Ek prani jo ek aadmi ki tarah chalta tha, lekin  jiska sharir baalo se dhanka hota tha aur uska sir ek bhediye ke jaisa tha.

Ganv me ek shap ke upar charcha ki jati thi aur kai log mante the ki unhe ek manav-bhediya dekh raha hai aur unhe ek-ek karke mar raha hai.

Kai log to ise ek shap se bhi jodne lage the ki yah shap bhagwan ne unhe diya hai.

Pujari aashchary karne laga ki bhagwan ne in bhayanak hatyao ke sath, hamare ganv ko kyon shrap diya? Aisa lag raha tha mano maut aur vinash ka koi ant nahi hai.

Ek raat Poornima ke samay, ganv ke logo ne faisla kiya ki unhe ek baar aur sabhi ke liye apne ganv ko barbad karne wale werewolf ko pakdna aur mar dalna hoga. Ve ganv ki sabse khoobsurat ladki ko ek ped se bandhkar jaal bichate hai, Us ladki ka istemaal vo log werewolf ko lubhane ke liye karna chahte the.

Upar, ped ki shakhao me, unhone bhediye ko pakadne ke liye ek jaal banaya. Fir, ve jhadiyon me chip gaye aur us bhediye ka intezar karne lage.

आप देख रहे है मानव-भेड़िया का अभिशाप (Werewolf Ka Abhishap)

Jald hi, unhone jungle me se ek bhayank gurrane ki aawaj suni aur achanak, vo bhediya dikhai diya. Jaise hi, Vah bhediya us ghabrai hue jawan ladki ki aur badha, ganv ke logon ne ped se bandhi rassiyon ko kat diya aur ek vishal pinjra bhediye ke upar gir gaya, jisse vo lohe ki bhari salakho ke andar fans gaya.

Ganv walo ne apne chipne ke sthano se nikalkar bhediye ke dil ko chedte huye, uske sharir me lambe bhale dal diye. Jaise hi vo bhediya pinjre ke farsh par gir gaya, logo ne uske balo wale sharir ko dekha aur vah sharir badlne laga.

Dheere-dheere, vo bhediye se insan me parivartit hone laga, kyonki uske sharir se aatma nikal gayi. Samne ab ek bhediye ke bajay ek mara hua insaan tha. Ganv ke log apne ghutno ke bal gir gaye aur rone lage, jab unhe mahsoos hua ki unhone apne priy pujari ki hatya kar di hai.

So I hope Guys आपको यह Horror Story अच्छी लगी होगी।

पढ़ने के लिए धन्यवाद।

दोस्तों, मैं आशा करता हूँ कि आपको “मानव-भेड़िया का अभिशाप (Werewolf Ka Abhishap)” शीर्षक वाली यह Real Horror Story पसंद आई होगी। ऐसी और भी Real Ghost Stories In Hindi में सुनने के लिये, हमारे ब्लॉग Horrorstoryhindi.com पर बने रहे। यदि आप YouTube पर Ghost Stories सुनना पसंद करते है तो मेरे YouTube ChannelCreepy Content” को सब्सक्राइब कर ले।

धन्यवाद!

Leave a Comment